izhaar-e-KHamoshi mein hai sau tarah ki fariyaad
zahir ka ye parda hai ki main kuchh nahin kahta
Meer Hasan
jaan-o-dil hain udas se mere
uTh gaya kaun pas se mere
Meer Hasan
jab dekho hun us ko to mujhe aata hai ye rashk
kis kis ka ye manzur-e-nazar howega yara
Meer Hasan
jab lage honge juda hazrat-e-dil hum ne kaha
phir bhi miliyega kabhi hum se kaha ya qismat
Meer Hasan
jab se juda hua hai wo shoKH tab se mujh ko
nit aah aah karna aur zar zar rona
Meer Hasan
jab talak zar hai to sab koi hai phir koi nahin
sach hai makkhi bhi rahe hai shakar-o-shir talak
Meer Hasan
jaise ki aaj wasl hua kya na chahiye
ek din bhi aawe aisa agar sau baras ke bich
Meer Hasan

