ab use apni shabahat bhi guzarti hai giran
ghar ke andar koi shisha nahin rahne deta
Mahfuzur Rahman Adil
aat to jab hai fasl-e-junun mein diwane to diwane
ahl-e-KHirad bhi raqs karen zanjiron ki jhankaron pa
Mahfuzur Rahman Adil
e-libasi meri tauqir ka bais Thahri
bol-baala hai bahut shahar mein uryani ka
Mahfuzur Rahman Adil
huli-bisri dastan mujh ko na samjho
main nai pahchan ka ek wasta hun
Mahfuzur Rahman Adil
dekh lena ek din be-roz-gari ka azab
chhin kar chehron ki sari dilkashi le jaega
Mahfuzur Rahman Adil
ek din wo zarron ko aaftab kar lenge
dhup ke jo KHwahan hain raat ke andhere mein
Mahfuzur Rahman Adil
hamesha dhup ki chadar pe takiya kaun karta hai
khuli chhat hai to phir barsat ka bhi samna hoga
Mahfuzur Rahman Adil

