hindu bacha ne chhin ke dil mujh se yun kaha
hindostan bhi kishwar-e-turkan se kam nahin
Maatam Fazl Mohammad
ishq-e-KHuban nahin hai aisi shai
bandh kar rakhiye jis ko puDiya mein
Maatam Fazl Mohammad
jaan-ba-lab dam bhar ka hun mehman-e-yar
ek bosa meri mehmani karo
Maatam Fazl Mohammad
jahan se hun yahan aaya wahan jaunga aaKHir ko
mera ye haal hai yaro na mustaqbil na mazi hun
Maatam Fazl Mohammad
KHat dekh kar mera mere qasid se yun kaha
kya gul nahin hua wo charagh-e-sahar hanuz
Maatam Fazl Mohammad
koi aazad ho to ho yaro
hum to hain ishq ke asiron mein
Maatam Fazl Mohammad
kya kahun din ko kis qadar roya
raat dilbar ko dekh kar roya main
Maatam Fazl Mohammad

