zamanon baad mile hain to kaise munh pherun
mere liye to purani sharab hain mere dost
Liyaqat Ali Aasim
zara sa sath do gham ke safar mein
zara sa muskura do thak gaya hun
Liyaqat Ali Aasim
ab na wo zauq-e-wafa hai na mizaj-e-gham hai
hu-ba-hu garche koi teri misal aaya tha
Lutf-ur-rahman
jate jate diya is tarah dilasa us ne
bich dariya mein koi jaise kinara nikla
Lutf-ur-rahman
kis se ummid karen koi elaj-e-dil ki
chaaragar bhi to bahut dard ka mara nikla
Lutf-ur-rahman
main dar-ba-dar hun abhi apni justuju mein bahut
main apne lahje ko andaz de raha hun abhi
Lutf-ur-rahman
main KHud hi apne taaqub mein phir raha hun abhi
uTha ke tu meri rahon se rasta le ja
Lutf-ur-rahman

