main ki apna hi pata puchh raha hun sab se
kho gai jaane kahan umr-e-guzishta meri
Lutf-ur-rahman
tamam umr mera mujh se iKHtilaf raha
gila na kar jo kabhi tera ham-nawa na hua
Lutf-ur-rahman
tera to kya ki KHud apna bhi main kabhi na raha
mere KHayal se KHwabon ka silsila le ja
Lutf-ur-rahman
mujhi se aai thi milne udas chandni raat
agar ye jaanta hota to jagta bhi main
M R Qasmi
aaj kal jo kasrat-e-shoridgan-e-ishq hai
roz hote jate hain haddad naukar saikDon
Maatam Fazl Mohammad
aaj masjid mein nazar aata to hai mai-kash magar
matlab us ka bechna hai shaiKH ki dastar ka
Maatam Fazl Mohammad
aatish ka sher paDhta hun aksar ba-hasb-e-haal
dil said hai wo bahr-e-suKHan ke nahang ka
Maatam Fazl Mohammad

