zarra samajh ke yun na mila mujh ko KHak mein
ai aasman main bhi kabhi aaftab tha
Lala Madhav Ram Jauhar
zulfen munh par hain munh hai zulfon mein
raat bhar subh sham din bhar hai
Lala Madhav Ram Jauhar
aankhen sahar talak meri dar se lagi rahin
kya puchhte ho haal shab-e-intizar ka
Lala Tika Ram
go dil mein KHafa hai tu par is baat ko nadan
kah baiThiyo mat aashiq-e-dil-gir ke munh pa
Lala Tika Ram
jise paDha nahin tum ne kabhi mohabbat se
kitab-e-zist ka wo bab hain mere aansu
Lata Haya
log nafrat ki fazaon mein bhi ji lete hain
hum mohabbat ki hawa se bhi Dara karte hain
Lata Haya
main to mushtaq hun aandhi mein bhi uDne ke liye
main ne ye shauq ajab dil ko laga rakkha hai
Lata Haya

