aisi tarikiyan aankhon mein basi hain ki 'faraaz'
raat to raat hai hum din ko jalate hain charagh
Ahmad Faraz
aur 'faraaz' chahiyen kitni mohabbaten tujhe
maon ne tere nam par bachchon ka nam rakh diya
Ahmad Faraz
ahut dinon se nahin hai kuchh us ki KHair KHabar
chalo 'faraaz' ko ai yar chal ke dekhte hain
Ahmad Faraz
andagi hum ne chhoD di hai 'faraaz'
kya karen log jab KHuda ho jaen
Ahmad Faraz
a-zahir ek hi shab hai firaq-e-yar magar
koi guzarne baiThe to umr sari lage
Ahmad Faraz
hari bahaar mein ek shaKH par khila hai gulab
ki jaise tu ne hatheli pe gal rakkha hai
Ahmad Faraz
chala tha zikr zamane ki bewafai ka
so aa gaya hai tumhaara KHayal waise hi
Ahmad Faraz