ab use log samajhte hain giraftar mera
saKHt nadim hai mujhe dam mein lane wala
Ahmad Faraz
ab zamin par koi gautam na mohammad na masih
aasmanon se nae log utare jaen
Ahmad Faraz
abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain
'faraaz' ab zara lahja badal ke dekhte hain
Ahmad Faraz
abhi to jag rahe hain charagh rahon ke
abhi hai dur sahar thoDi dur sath chalo
Ahmad Faraz
agar tumhaari ana hi ka hai sawal to phir
chalo main hath baDhata hun dosti ke liye
Ahmad Faraz
agarche zor hawaon ne Dal rakkha hai
magar charagh ne lau ko sambhaal rakkha hai
Ahmad Faraz
aisa hai ki sab KHwab musalsal nahin hote
jo aaj to hote hain magar kal nahin hote
Ahmad Faraz