dil mera KHwab-gah-e-dilbar hai
bas yahi ek sone ka ghar hai
Lala Madhav Ram Jauhar
dil pyar ki nazar ke liye be-qarar hai
ek tir is taraf bhi ye taza shikar hai
Lala Madhav Ram Jauhar
dil se guzri kabhi sar se guzri
bas yunhi umr hamari guzri
Lala Madhav Ram Jauhar
dil to wo mangte hain aur tamasha ye hai
baat matlab ki jo kahiye to uDa jate hain
Lala Madhav Ram Jauhar
do hi din mein ye sanam hosh-ruba hote hain
kal ke tarshe hue but aaj KHuda hote hain
Lala Madhav Ram Jauhar
dost dil rakhne ko karte hain bahane kya kiya
roz jhuTi KHabar-e-wasl suna jate hain
Lala Madhav Ram Jauhar
dost do-chaar nikalte hain kahin lakhon mein
jitne hote hain siwa utne hi kam hote hain
Lala Madhav Ram Jauhar

