yar tanha ghar mein hai afsos lekin hum nahin
hur to hai gulshan-e-firdaus mein aadam nahin
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
ye dil-e-bad-guman na dekh sake
agar us but ke ho KHuda hamrah
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
zamin bhi nikli jati hai meri panw ke niche se
mujhe mushkil hua hai sath dena apne manzil ka
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
zar diya zor diya mal diya ganj diye
ai falak kaun se rahat ke ewaz ranj diye
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
aaine mein aur aab-e-rawan mein tha tera aks
shayad ki mera dida-e-tar teri taraf tha
Khwaja Razi Haidar
guzri jo rahguzar mein use darguzar kiya
aur phir ye tazkira kabhi ja kar na ghar kiya
Khwaja Razi Haidar
kab tak ai baad-e-saba tujh se tawaqqo rakkhun
dil tamanna ka shajar hai to hara ho bhi chuka
Khwaja Razi Haidar

