sar aankhon se karen sajda jidhar abru hilae wo
juda kuchh kufr aur islam se mazhab hamara hai
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
sar jhukae raha sada gardun
kya kiya tha jo sharmsar raha
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
sar mera kaT ke pachhtaiyega
kis ki phir jhuTi qasam khaiyega
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
silsila rakhta hai mera kufr kuchh islam se
hain kai tasbih ke dane meri zunnar mein
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
sujhi hai ulTi dasht-nawardi mein ai junun
panw mein aable ki tarah se kulah ho
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
tirchhi nazron se na dekho aashiq-e-dil-gir ko
kaise tir-andaz ho sidha to kar lo tir ko
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
tere kuche ki shayad rah bhuli
saba phirti hai muztar ku-ba-ku aaj
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi

