jis ko aate dekhta hun ai pari kahta hun main
aadmi bheja na ho mere bulane ke liye
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
kahida mujh ko dekh ke wo ghairat-e-pari
kahta hai aadmi ho ki mardum-gayah ho
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
kahen adu na kahen mujh ko dekh kar muhtaj
ye un ke bande hain jin ko karim kahte hain
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
KHak mein mil jae wo chashma na jis mein aab ho
phuT jae aankh agar mauquf rona ho gaya
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
KHud-ba-KHud apna janaza hai rawan
hum ye kis ke Kushta-e-raftar hain
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
kisi ko dekh ke saqi jo be-hawas hua
sharab siKH pe Dali kabab shishe mein
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
ku-e-jaanan se jo uThta hun to so jate hain panw
dafatan aankhon se panw mein utar aati hai nind
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi

