dekha jise bismil kya taka jise mara
us aankh se Dariye jo KHuda se na Dare aankh
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
dekhna hasrat-e-didar ise kahte hain
phir gaya munh teri jaanib dam-e-murdan apna
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
ek ko do kar dikhae aaina
gar banaen aahan-e-shamshir se
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
ghazab hai ruh se is jama-e-tan ka juda hona
libas-e-tang hai utrega aaKHir dhajjiyan ho ka
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
haal puchho na mere rone ka bas jaane do
abhi rumal nichoDunga to tufan hoga
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
hath dikhla ke ye bola wo musalman-zada
ho gaya dast-e-nigar ab to barahman apna
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
hai chashm nim-baz ajab KHwab-e-naz hai
fitna to so raha hai dar-e-fitna baz hai
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi

