zikr mera hi wo karta tha sarihan lekin
main ne puchha to kaha KHair ye mazkur na tha
Khwaja Meer u0027Dardu0027
zindagi hai ya koi tufan hai!
hum to is jine ke hathon mar chale
Khwaja Meer u0027Dardu0027
aaenge waqt-e-KHizan chhoD de aai hai bahaar
le le sayyaad qasam rakh de gulistan sar pa
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
aaya hai mere dil ka ghubar aansuon ke sath
lo ab to hui malik-e-KHushki-o-tari aankh
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
ai buto dar-parda tum se zahidon ko bhi hai ishq
surat-e-tasbih pinhan rakhte hain zunnar ko
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
apne kuche mein mujhe rone to de ai rashk-e-gul
baghban pani hamesha dete hain gulzar ko
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
aal-o-par bhi gae bahaar ke sath
ab tawaqqo nahin rihai ki
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi

