hai saya chandni aur chand mukhDa
dupaTTa aasman-e-asman hai
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
hijr mein ek mah ke aansu hamare gir paDe
aasman TuTa shab-e-furqat sitare gir paDe
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
ho rihai zoaf ke tasir se
niklen hum misl-e-sada zanjir se
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
hui gar sulh bhi to bhi rahi jang
mila jab dil to aankh us se laDa ki
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
is KHajalat ne abad tak mujhe sone na diya
hijr mein lag gai thi ek ghaDi meri aankh
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
isi KHatir to qatl-e-ashiqan se mana karte the
akele phir rahe ho yusuf-e-be-karwan ho ka
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
jab KHafa hota hai to yun dil ko samjhata hun main
aaj hai na-mehrban kal mehrban ho jaega
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi

