tera baKHsha hua ek zaKHm pyare
chali ThanDi hawa jalne laga hai
Khurshid Rabbani
utar ke shaKH se ek ek zard patte ne
nai ruton ke liye rasta banaya tha
Khurshid Rabbani
wahshaten ishq aur majburi
kya kisi KHas imtihan mein hun
Khurshid Rabbani
wo taghaful-shiar kya jaane
ishq to husn ki zarurat hai
Khurshid Rabbani
ye dil ki zard paDa tha kai zamanon se
main tera nam liya aur bahaar aa gai hai
Khurshid Rabbani
ye kar-e-mohabbat bhi kya kar-e-mohabbat hai
ek harf-e-tamanna hai aur us ki pazirai
Khurshid Rabbani
ye kaun aag lagane pe hai yahan mamur
ye kaun shahr ko maqtal banane wala hai
Khurshid Rabbani

