اردو हिंदी
Jab se is shahr-e-be-makan mein hun | Shaahi Shayari
jab se is shahr-e-be-makan mein hun

Ghazal

Jab se is shahr-e-be-makan mein hun

Khurshid Rabbani

;

jab se is shahr-e-be-makan mein hun
main tere ism ki aman mein hun

gumbad-e-sher mein jo gunjti hai
main usi dard ki azan mein hun

main ne tanhaiyon ko pa liya hai
is liye KHwab hi ke dhyan mein hun

titliyan rang chunti rahti hain
aur main KHushbuon ki kan mein hun

wahshaten ishq aur majburi
kya kisi KHas imtihan mein hun

KHwahishen saya saya bikhri hain
aur main dhup ke makan mein hun

main hun paikan-e-dard ai 'KHurshid'
aur ek yaad ki kaman mein hun