wafa ki pyar ki gham ki kahaniyan likh kar
sahar ke hath mein dil ki kitab deta hun
Khurshid Ahmad Jami
yaad-e-mazi ki pur-asrar hasin galiyon mein
mere hamrah abhi ghum raha hai koi
Khurshid Ahmad Jami
yaadon ke daraKHton ki hasin chhanw mein jaise
aata hai koi shaKHs bahut dur se chal ke
Khurshid Ahmad Jami
zindagani ke hasin shahr mein aa kar 'jami'
zindagani se kahin hath milae bhi nahin
Khurshid Ahmad Jami
dekh kar bhi na dekhna us ka
ye ada to buton mein hoti hai
Khurshid Rabbani
hawa-e-taza ka jhonka idhar se kya guzra
gire paDe hue patton mein jaan aa gai hai
Khurshid Rabbani
KHuda kare ki khule ek din zamane par
meri kahani mein jo istiara KHwab ka hai
Khurshid Rabbani

