us ki palkon pe jo chamka tha sitara koi
dekhte dekhte mahtab hua jata hai
Kausar Mazhari
wahi qatra jo kabhi kunj-e-sar-e-chashm mein tha
ab jo phaila hai to sailab hua jata hai
Kausar Mazhari
ai masiha kabhi tu bhi to use dekhne aa
tere bimar ko sunte hain ki aaram nahin
Kausar Niyazi
apne wahshat-zada kamre ki ek almari mein
teri taswir aqidat se saja rakkhi hai
Kausar Niyazi
ar-sar-e-am iqrar agar na-mumkin hai to yunhi sahi
kam-az-kam idrak to kar le gun be-shak mat man mere
Kausar Niyazi
e-sabab aaj aankh pur-nam hai
jaane kis baat ka mujhe gham hai
Kausar Niyazi
chand lamhon ke liye ek mulaqat rahi
phir na wo tu na wo main aur na wo raat rahi
Kausar Niyazi

