jo toD doge mujhe tum bhi TuT jaoge
ki irtibaat-e-salasil ki ek kaDi hun main
Kausar Siwani
kya dil ki pyas thi ki bujhai na ja saki
baadal nichoD ke na samundar tarash ke
Kausar Siwani
main to qabil na tha un ke didar ke
un ki chaukhaT pe meri KHata le gai
Kausar Siwani
samundar ki tarah wusat ho jis mein
wo qatra bahr hai qatra nahin hai
Kausar Siwani
zindagi kuchh to bharam rakh le wafadari ka
tujh ko mar mar ke shab-o-roz sanwara hai bahut
Kausar Siwani
ab na wo ahbab zinda hain na rasm-ul-KHat wahan
ruTh kar urdu to dehli se dakan mein aa gai
Kavish Badri
az-sar-e-nau fikr ka aaghaz karna chahiye
be-par-o-baal sahi parwaz karna chahiye
Kavish Badri

