kaun si duniya mein hun kis ki nigahbani mein hun
zindagi hai saKHt mushkil phir bhi aasani mein hun
Kausar Mazhari
main sab ke waste achchha tha lekin
usi ke waste achchha nahin tha
Kausar Mazhari
mausam-e-dil jo kabhi zard sa hone lag jae
apna dil KHun karo phul ugane lag jao
Kausar Mazhari
nazar jhuk rahi hai KHamoshi hai lab par
haya hai ada hai ki an-ban hai kya hai
Kausar Mazhari
putliyon par raqs karna hi kalam-e-fan nahin
dard ke aansu ko to paiham rawani chahiye
Kausar Mazhari
abt hai us ko zamane se bahut sunta hun
koi tarkib karun main bhi zamana ho jaun
Kausar Mazhari
taaqub mein hai mere yaad kis ki
main kis ko bhul jaana chahta hun
Kausar Mazhari

