as kar ye KHayal-afrini
us ke hi KHayal mein raha ka
Joshish Azimabadi
e-gunah kahta phire hai aap ko
shaiKH nasl-e-hazrat-e-adam nahin
Joshish Azimabadi
hul jata hun main KHudai ko
us se jab ram ram hoti hai
Joshish Azimabadi
chashm-e-wahdat se gar koi dekhe
but-parasti bhi haq-parasti hai
Joshish Azimabadi
chhup-chhup ke dekhte ho bahut us ko har kahin
hoga ghazab jo paD gai us ki nazar kahin
Joshish Azimabadi
dagh-e-jigar ka apne ahwal kya sunaun
bharte hain us ke aage sham-o-charagh pani
Joshish Azimabadi
dhyan mein us ke fana ho kar koi munh dekh le
dil wo aaina nahin jo har koi munh dekh le
Joshish Azimabadi

