kabhi jo zahmat-e-kar-e-rafu nahin karta
hamare zaKHm usi chaaragar ke nam tamam
Irfan Siddiqi
kaha tha tum ne ki lata hai kaun ishq ki tab
so hum jawab tumhaare sawal hi ke to hain
Irfan Siddiqi
KHiraj mang rahi hai wo shah-banu-e-shahr
so hum bhi hadiya-e-dast-e-talab guzarte hain
Irfan Siddiqi
KHuda kare saf-e-sardadgan na ho KHali
jo main girun to koi dusra nikal aae
Irfan Siddiqi
kuchh ishq ke nisab mein kamzor hum bhi hain
kuchh parcha-e-sawal bhi aasan chahiye
Irfan Siddiqi
magar giraft mein aata nahin badan us ka
KHayal DhunDhta rahta hai istiara koi
Irfan Siddiqi
main chahta hun yahin sare faisle ho jaen
ki is ke baad ye duniya kahan se launga main
Irfan Siddiqi

