ek main hun ki is aashob-e-nawa mein chup hun
warna duniya mere zaKHmon ki zaban bolti hai
Irfan Siddiqi
hai bahut kuchh meri tabir ki duniya tujh mein
phir bhi kuchh hai ki jo KHwabon ke jahan se kam hai
Irfan Siddiqi
hum baDe ahl-e-KHirad bante the ye kya ho gaya
aql ka har mashwara diwana-pan lagne laga
Irfan Siddiqi
hum kaun shanawar the ki yun par utarte
sukhe hue honTon ki dua le gai hum ko
Irfan Siddiqi
hum ne dekha hi tha duniya ko abhi us ke baghair
lijiye bich mein phir dida-e-tar aa gae hain
Irfan Siddiqi
hum ne muddat se ulaT rakkha hai kasa apna
dast-e-dadar tere dirham-o-dinar pe KHak
Irfan Siddiqi
hum sab aaina-dar-aina-dar-aina hain
kya KHabar kaun kahan kis ki taraf dekhta hai
Irfan Siddiqi

