hum to raat ka matlab samjhen KHwab, sitare, chand, charagh
aage ka ahwal wo jaane jis ne raat guzari ho
Irfan Siddiqi
hum to sahra hue jate the ki us ne aa kar
shahr aabaad kiya nahr-e-saba jari ki
Irfan Siddiqi
hamare dil ko ek aazar hai aisa nahin lagta
ki hum daftar bhi jate hain ghazal-KHwani bhi karte hain
Irfan Siddiqi
hamein to KHair bikharna hi tha kabhi na kabhi
hawa-e-taza ka jhonka bahana ho gaya hai
Irfan Siddiqi
harif-e-tegh-e-sitam-gar to kar diya hai tujhe
ab aur mujh se tu kya chahta hai sar mere
Irfan Siddiqi
hawa-e-kufa-e-na-mehrban ko hairat hai
ki log KHema-e-sabr-o-raza mein zinda hain
Irfan Siddiqi
hoshiyari dil-e-nadan bahut karta hai
ranj kam sahta hai elan bahut karta hai
Irfan Siddiqi

