اردو हिंदी
Zawal-e-shab mein kisi ki sada nikal aae | Shaahi Shayari
zawal-e-shab mein kisi ki sada nikal aae

Ghazal

Zawal-e-shab mein kisi ki sada nikal aae

Irfan Siddiqi

;

zawal-e-shab mein kisi ki sada nikal aae
sitara Dube sitara-numa nikal aae

ajab nahin ki ye dariya nazar ka dhoka ho
ajab nahin ki koi rasta nikal aae

ye kis ne dast-e-burida ki fasl boi thi
tamam shahr mein naKHl-e-dua nikal aae

baDi ghuTan hai charaghon ka kya KHayal karun
ab is taraf koi mauj-e-hawa nikal aae

KHuda kare saf-e-sardadgan na ho KHali
jo main girun to koi dusra nikal aae