chashm-e-saqi mujhe har gam pe yaad aati hai
rasta bhul na jaun kahin maiKHane ka
Iqbal Safi Puri
kaun jaane ki ek tabassum se
kitne mafhum-e-gham nikalte hain
Iqbal Safi Puri
koi samjhae ki kya rang hai maiKHane ka
aankh saqi ki uThe nam ho paimane ka
Iqbal Safi Puri
mere labon ka tabassum to sab ne dekh liya
jo dil pe bit rahi hai wo koi kya jaane
Iqbal Safi Puri
ab tu darwaze se apne nam ki taKHti utar
lafz nange ho gae shohrat bhi gali ho gai
Iqbal Sajid
andar thi jitni aag wo ThanDi na ho saki
pani tha sirf ghas ke upar paDa hua
Iqbal Sajid
apni ana ki aaj bhi taskin hum ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin hum ne ki
Iqbal Sajid

