tum ne rasman mujhe salam kiya
log kya kya guman kar baiThe
Iftikhar Raghib
wo kahte hain ki 'raghib' tum nahin rakhte KHayal apna
main kahta hun ki har dam fikr daman-gir kis ki hai
Iftikhar Raghib
ye wasl ki rut hai ki judai ka hai mausam
ye gulshan-e-dil hai ki bayaban kahin ka
Iftikhar Raghib
hijrat ki ghaDi hum ne tere KHat ke alawa
bosida kitabon ko bhi saman mein rakkha
Iftikhar Shafi
tha koi wahan jo hai yahan bhi hai wahan bhi
jo hun main yahan hun main wahan koi nahin tha
Iftikhar Shafi
afsurdagi bhi husn hai tabindagi bhi husn
hum ko KHizan ne tum ko sanwara bahaar ne
Ijtiba Rizvi
churane ko chura laya main jalwe ru-e-raushan se
magar ab bijliyan lipTi hui hain dil ke daman se
Ijtiba Rizvi

