KHirad ko KHana-e-dil ka nigah-ban kar diya hum ne
ye ghar aabaad hota is ko viran kar diya hum ne
Ijtiba Rizvi
mere saz-e-nafas ki KHamushi par ruh kahti hai
na aai mujh ko nind aur so gaya afsana-KHwan mera
Ijtiba Rizvi
zaban se dil ka fasana ada kiya na gaya
ye tarjuman to bani thi magar bana na gaya
Ijtiba Rizvi
ek dard ki lazzat barqarar rakhne ko
kuchh latif jazbon ki KHun se aabyari ki
Ikram Mujeeb
hijr ki masafat mein sath tu raha har dam
dur ho gae tujh se jab tere qarin pahunche
Ikram Mujeeb
is hasin manzar se dukh kai ubharne hain
dhup jab utarni hai barf ke makanon pa
Ikram Mujeeb
kam zara na hone di ek lafz ki hurmat
ek ahd ki sari umr pasdari ki
Ikram Mujeeb

