ek mausam ki kasak hai dil mein dafn
miTha miTha dard sa hai mustaqil
Iftikhar Raghib
ek baDi jang laD raha hun main
hans ke tujh se bichhaD raha hun main
Iftikhar Raghib
inkar hi kar dijiye iqrar nahin to
uljhan hi mein mar jaega bimar nahin to
Iftikhar Raghib
is shoKHi-e-guftar par aata hai bahut pyar
jab pyar se kahte hain wo shaitan kahin ka
Iftikhar Raghib
ji chahta hai jina jazbaat ke mutabiq
haalat kar rahe hain haalat ke mutabiq
Iftikhar Raghib
kis kis ko bataun ki main buzdil nahin 'raghib'
is daur mein mafhum-e-sharafat hi alag hai
Iftikhar Raghib
kya bataun dil mein kis ki yaad ka
ek kanTa chubh raha hai mustaqil
Iftikhar Raghib

