garm aansu aur ThanDi aahen man mein kya kya mausam hain
is baghiya ke bhed na kholo sair karo KHamosh raho
Ibn e Insha
hum bhul sake hain na tujhe bhul sakenge
tu yaad rahega hamein han yaad rahega
Ibn e Insha
hum kisi dar pe na ThiTke na kahin dastak di
saikDon dar the meri jaan tere dar se pahle
Ibn e Insha
haq achchha par us ke liye koi aur mere to aur achchha
tum bhi koi mansur ho jo suli pe chaDho KHamosh raho
Ibn e Insha
husn sab ko KHuda nahin deta
har kisi ki nazar nahin hoti
Ibn e Insha
ek sal gaya ek sal naya hai aane ko
par waqt ka ab bhi hosh nahin diwane ko
Ibn e Insha
'insha'-ji uTho ab kuch karo is shahr mein ji ko lagana kya
wahshi ko sukun se kya matlab jogi ka nagar mein Thikana kya
Ibn e Insha

