jab shahr ke log na rasta den kyun ban mein na ja bisram kare
diwanon ki si na baat kare to aur kare diwana kya
Ibn e Insha
jalwa-numai be-parwai han yahi rit jahan ki hai
kab koi laDki man ka daricha khol ke bahar jhanki hai
Ibn e Insha
kab lauTa hai bahta pani bichhDa sajan ruTha dost
hum ne us ko apna jaana jab tak hath mein daman tha
Ibn e Insha
kuchh kahne ka waqt nahin ye kuchh na kaho KHamosh raho
ai logo KHamosh raho han ai logo KHamosh raho
Ibn e Insha
'mir' se baiat ki hai to 'insha' mir ki baiat bhi hai zarur
sham ko ro ro subh karo ab subh ko ro ro sham karo
Ibn e Insha
aat aa kar guzar bhi jati hai
ek hamari sahar nahin hoti
Ibn e Insha
sun to liya kisi nar ki KHatir kaTa koh nikali nahr
ek zara se qisse ko ab dete kyun ho tul miyan
Ibn e Insha

