har taraf ek muhib sannaTa
dil dhaDakta to hai magar KHamosh
Himayat Ali Shayar
iman bhi laj rakh na saka mere jhuT ki
apne KHuda pe kitna mujhe e'timad tha
Himayat Ali Shayar
is dasht pe ehsan na kar ai abr-e-rawan aur
jab aag ho nam-KHurda to uThta hai dhuan au
Himayat Ali Shayar
is dasht-e-suKHan mein koi kya phul khilae
chamki jo zara dhup to jalne lage sae
Himayat Ali Shayar
is jahan mein to apna saya bhi
raushni ho to sath chalta hai
Himayat Ali Shayar
kis liye kije kisi gum-gashta jannat ki talash
jab ki miTTi ke khilaunon se bahal jate hain log
Himayat Ali Shayar
main kuchh na kahun aur ye chahun ki meri baat
KHushbu ki tarah uD ke tere dil mein utar jae
Himayat Ali Shayar

