wusat tilism-KHana-e-alam ki kya kahun
thak thak gai nigah tamashe na kam hue
Heera Lal Falak Dehlvi
yaad itna hai mere lab pe fughan aai thi
phir KHuda jaane kahan dil ki ye aawaz gai
Heera Lal Falak Dehlvi
dua hi wajh-e-karamat thoDi hoti hai
ghazab ki dhup mein barsat thoDi hoti hai
Hijab Abbasi
hai jab tak dasht-paimai salamat
rahegi aabla-pai salamat
Hijab Abbasi
hum is shahr-e-jafa-pesha se kuchh ummid kya rakkhen
yahan is haw-hu mein KHamushi ko kaun likkhega
Hijab Abbasi
aaya bhi koi dil mein gaya bhi koi dil se
aana nazar aaya na ye jaana nazar aaya
Hijr Nazim Ali Khan
ai hijr waqt Tal nahin sakta hai maut ka
lekin ye dekhna hai ki miTTi kahan ki hai
Hijr Nazim Ali Khan

