zaban se baat nikli aur parai ho gai sach hai
abas ashaar ko karte hain hum tashhir pahle se
Hatim Ali Mehr
aah ye barsat ka mausam ye zaKHmon ki bahaar
ho gaya hai KHun-e-dil aankhon se jari in dinon
Haya Lakhnavi
chaman wahi hai ghaTaen wahi bahaar wahi
magar gulon mein wo ab rang-o-bu nahin baqi
Haya Lakhnavi
nigah-e-shauq agar dil ki tarjuman ho jae
to zarra zarra mohabbat ka raaz-dan ho jae
Haya Lakhnavi
ahen gham ki sharar-angeziyan ya-rab qayamat tak
'haya' gham se na milti gar kabhi fursat to achchha tha
Haya Lakhnavi
ab dilon mein koi gunjaish nahin milti 'hayat'
bas kitabon mein likkha harf-e-wafa rah jaega
Hayat Lakhnavi
chehre ko tere dekh ke KHamosh ho gaya
aisa nahin sawal tera la-jawab tha
Hayat Lakhnavi

