kya tafarqe hua jo hue yar se alag
dil hum se aur hum hain dil-e-zar se alag
Hatim Ali Mehr
mar Dala teri aankhon ne hamein
sher ka kaam hiran karte hain
Hatim Ali Mehr
majma mein raqibon ke khula tha tera juDa
kal raat ajab KHwab-e-pareshan nazar aaya
Hatim Ali Mehr
na le ja dair se kaba hamein zahid ki hum wan bhi
KHuda ko bhul jate hain buton ko yaad karte hain
Hatim Ali Mehr
na zaqan hai wo na lab hain na wo pistan na wo qad
seb o unnab o anar ek shajar se nikle
Hatim Ali Mehr
aat din sajde kiya karta hai huron ke liye
koi zahid ki namazon mein to niyyat dekhta
Hatim Ali Mehr
aaton ko but baghal mein hain quran tamam din
hindu tamam shab hun musalman tamam din
Hatim Ali Mehr

