phir aur taghaful ka sabab kya hai KHudaya
main yaad na aaun unhen mumkin hi nahin hai
Hasrat Mohani
pursish-e-haal pe hai KHatir-e-jaanan mail
jurat-e-koshish-e-izhaar kahan se laun
Hasrat Mohani
ah mein miliye kabhi mujh se to az-rah-e-sitam
honT apna kaT kar fauran juda ho jaiye
Hasrat Mohani
anai-e-KHayal ko Thahra diya gunah
waiz bhi kis qadar hai mazaq-e-suKHan se du
Hasrat Mohani
aat din nama-o-paigham kahan tak doge
saf kah dijiye milna hamein manzur nahin
Hasrat Mohani
aushan jamal-e-yar se hai anjuman tamam
dahka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam
Hasrat Mohani
sabhi kuchh ho chuka un ka hamara kya raha 'hasrat'
na din apna na dil apna na jaan apni na tan apna
Hasrat Mohani

