un ko yan wade pe aa lene de ai abr-e-bahaar
jis qadar chahna phir baad mein barsa karna
Hasrat Mohani
us na-KHuda ke zulm o sitam hae kya karun
kashti meri Duboi hai sahil ke aas-pas
Hasrat Mohani
waqif hain KHub aap ke tarz-e-jafa se hum
izhaar-e-iltifat ki zahmat na kijiye
Hasrat Mohani
wasl ki banti hain in baaton se tadbiren kahin
aarzuon se phira karti hain taqdiren kahin
Hasrat Mohani
aiThte jab hain khilaune wo banane ke liye
un se ban jate hain hathiyar ye qissa kya hai
Hastimal Hasti
dhire dhire ho gai ye itni bad-rang
jiwan ki poshak ka bhule asli rang
Hastimal Hasti
dil ki haalat puchhne walo
dekho koi phul masal ke
Hastimal Hasti

