koi bhi rut ho mili hai dukhon ki fasl hamein
jo mausam aaya hai us ke itab dekhe hain
Haneef Kaifi
mile wo lamha jise apna kah saken 'kaifi'
guzar rahe hain isi justuju mein mah-o-sal
Haneef Kaifi
muddaten guzrin mulaqat hui thi tum se
phir koi aur na aaya nazar aaine mein
Haneef Kaifi
sab nazar aate hain chehre gard gard
kya hue be-ab aaine tamam
Haneef Kaifi
shab-e-daraaz ka hai qissa muKHtasar 'kaifi'
hui sahar ke ujalon mein gum charagh ki lau
Haneef Kaifi
tamam aalam se moD kar munh main apne andar sama gaya hun
mujhe na aawaz de zamane main apni aawaz sun raha hun
Haneef Kaifi
agar jahan mein koi aaina nahin tera
to phir tujhi ko tere ru-ba-ru karunga main
Haneef Najmi

