jo hai tazgi meri zat mein wahi zikr-o-fikr-e-chaman mein hai
ki wajud mera kahin bhi ho meri ruh mere watan mein hai
Haneef akhgar
jo kushud-e-kar-e-tilism hai wo faqat hamara hi ism hai
wo girah kisi se khulegi kya jo teri jabin ki shikan mein hai
Haneef akhgar
jo musafir bhi tere kuche se guzra hoga
apni nazron ko bhi diwar samajhta hoga
Haneef akhgar
kafir sahi hazar magar is ko kya kahen
hum par wo mehrban hai musalman ki tarah
Haneef akhgar
KHalwat-e-jaan mein tera dard basana chahe
dil samundar mein bhi diwar uThana chahe
Haneef akhgar
kisi ke jaur-e-musalsal ka faiz hai 'aKHgar'
wagarna dard hamare suKHan mein kitna tha
Haneef akhgar
koi saghar pe saghar pi raha hai koi tishna hai
murattab is tarah aain-e-mai-KHana nahin hota
Haneef akhgar

