wo ek jagah na kahin rah saka aur us ke sath
kiraya-dar the hum bhi makan badalte rahe
Haneef Najmi
inqalab-e-subh ki kuchh kam nahin ye bhi dalil
pattharon ko de rahe hain aaine khul kar jawa
Haneef Sajid
pattharon se kab talak bandhegi ummid-e-wafa
zindagi dekhegi kab tak jagti aankhon se KHwa
Haneef Sajid
toD Dalen hum nizam-e-KHastagi
ye jahan kohna dobara bane
Hanif Fauq
asti ke hassas dilon ko chubhta hai
sannaTa jab sari raat nahin hota
Hanif Tarin
har zaKHm-e-kohna waqt ke marham ne bhar diya
wo dard bhi miTa jo KHushi ki asas tha
Hanif Tarin
jin ka yaqin rah-e-sukun ki asas hai
wo bhi guman-e-dasht mein mujh ko phanse lage
Hanif Tarin

