KHamosh ho gain jo umangen shabab ki
phir jurat-e-gunah na ki hum bhi chup rahe
Hafeez Jalandhari
KHuda ko na taklif de Dubne mein
kisi naKHuda ke sahaare chala chal
Hafeez Jalandhari
kis munh se kah rahe ho hamein kuchh gharaz nahin
kis munh se tum ne wada kiya tha nibah ka
Hafeez Jalandhari
koi chaara nahin dua ke siwa
koi sunta nahin KHuda ke siwa
Hafeez Jalandhari
koi dawa na de sake mashwara-e-dua diya
chaaragaron ne aur bhi dard dil ka baDha diya
Hafeez Jalandhari
kyun hijr ke shikwe karta hai kyun dard ke rone rota hai
ab ishq kiya to sabr bhi kar is mein to yahi kuchh hota hai
Hafeez Jalandhari
mabaada phir asir-e-dam-e-aql-o-hosh ho jaun
junun ka is tarah achchha nahin had se guzar jaana
Hafeez Jalandhari

