qaem kiya hai main ne adam ke wajud ko
duniya samajh rahi hai fana ho gaya hun main
Hafeez Jalandhari
ang badla yar ne wo pyar ki baaten gain
wo mulaqaten gain wo chandni raaten gain
Hafeez Jalandhari
sunata hai kya hairat-angez qisse
hasinon mein khoi ho jis ne jawani
Hafeez Jalandhari
supurd-e-KHak hi karna tha mujh ko
to phir kahe ko nahlaya gaya hun
Hafeez Jalandhari
tanhai-e-firaq mein ummid bar-ha
gum ho gai sukut ke hangama-zar mein
Hafeez Jalandhari
tasawwur mein bhi ab wo be-naqab aate nahin mujh tak
qayamat aa chuki hai log kahte hain shabab aaya
Hafeez Jalandhari
tauba tauba shaiKH ji tauba ka phir kis ko KHayal
jab wo KHud kah de ki pi thoDi si pi mere liye
Hafeez Jalandhari

