phir ek shola-e-pur-pech-o-tab bhaDkega
ki chand tinkon ko tartib de raha hun main
Gopal Mittal
tark-e-talluqat KHud apna qusur tha
ab kya gila ki un ko hamari KHabar nahin
Gopal Mittal
ab ke sawan mein shararat ye mere sath hui
mera ghar chhoD ke kul shahr mein barsat hui
Gopaldas Neeraj
aasman kahte hain jis ko wo zamin-e-sher hai
mah-e-nau misra hai wasf-e-abru-e-KHamdar mein
Goya Faqir Mohammad
ai junun hath jo wo zulf na aai hoti
aah ne arsh ki zanjir hilai hoti
Goya Faqir Mohammad
apne siwa nahin hai koi apna aashna
dariya ki tarah aap hain apne kanar mein
Goya Faqir Mohammad
ijli chamki to abr roya
yaad aa gai kya hansi kisi ki
Goya Faqir Mohammad

