main ne man ka libas jab pahna
mujh ko titli ne apne rang diye
Fatima Hasan
main ne pahunchaya use jit ke har KHane mein
meri bazi thi meri mat samajhta hi nahin
Fatima Hasan
makan banate hue chhat bahut zaruri hai
bacha ke sehn mein lekin shajar bhi rakhna hai
Fatima Hasan
pahchan jin se thi wo hawale miTa diye
us ne kitab-e-zat ka safha badal diya
Fatima Hasan
puri na adhuri hun na kam-tar hun na bartar
insan hun insan ke mear mein dekhen
Fatima Hasan
aat dariche tak aa kar ruk jati hai
band aankhon mein us ka chehra rahta hai
Fatima Hasan
sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha
wagarna thak ke kahin to Thahar hi jaana tha
Fatima Hasan