اردو हिंदी
Kya kahun us se ki jo baat samajhta hi nahin | Shaahi Shayari
kya kahun us se ki jo baat samajhta hi nahin

Ghazal

Kya kahun us se ki jo baat samajhta hi nahin

Fatima Hasan

;

kya kahun us se ki jo baat samajhta hi nahin
wo to milne ko mulaqat samajhta hi nahin

hum ne dekha hai faqat KHwab khuli aankhon se
KHwab thi wasl ki wo raat samajhta hi nahin

main ne pahunchaya use jit ke har KHane mein
meri bazi thi meri mat samajhta hi nahin

raat purwai ne us ko bhi jagaya hoga
raat kyun kaT na saki raat samajhta hi nahin

shaeri ka koi andaz samajhta hai inhen
wo mohabbat ki riwayat samajhta hi nahin