jo dur rah ke uData raha mazaq mera
qarib aaya to roya gale laga ke mujhe
Faryad Aazar
main apni ruh liye dar-ba-dar bhaTakta raha
badan se dur mukammal wajud tha mera
Faryad Aazar
main jis mein rah na saka ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyab mausam ka
Faryad Aazar
main us ki baaton mein gham apna bhul jata magar
wo shaKHs rone laga KHud hansa hansa ke mujhe
Faryad Aazar
subh hoti hai to daftar mein badal jata hai
ye makan raat ko phir ghar mein badal jata hai
Faryad Aazar
ab kisi aur ka tum zikr na karna mujh se
warna ek KHwab jo aankhon mein hai mar jaega
Fasih Akmal
ahut si baaten zaban se kahi nahin jatin
sawal kar ke use dekhna zaruri hai
Fasih Akmal