yarab nawa-e-dil se ye kan aashna se hain
aawaz aa hi hai ye kab ki suni hui
Fani Badayuni
ya-rab teri rahmat se mayus nahin 'fani'
lekin teri rahmat ki taKHir ko kya kahiye
Fani Badayuni
yun churain us ne aankhen sadgi to dekhiye
bazm mein goya meri jaanib ishaara kar diya
Fani Badayuni
yun na kisi tarah kaTi jab meri zindagi ki raat
chheD ke dastan-e-gham dil ne mujhe sula diya
Fani Badayuni
yun na qatil ko jab yaqin aaya
hum ne dil khol kar dikhai choT
Fani Badayuni
zamana bar-sar-e-azar tha magar 'fani'
taDap ke hum ne bhi taDpa diya zamane ko
Fani Badayuni
zikr jab chhiD gaya qayamat ka
baat pahunchi teri jawani tak
Fani Badayuni