na jaane kaisa samundar hai ishq ka jis mein
kisi ko dekha nahin Dub ke ubharte hue
Faragh Rohvi
nafrat ke sansar mein khelen ab ye khel
ek ek insan joD ke ban jaen hum rail
Faragh Rohvi
suna hai amn-paraston ka wo ilaqa hai
wahin shikar kabutar hua to kaise hua
Faragh Rohvi
tumhaara chehra tumhein hu-ba-hu dikhaunga
main aaina hun mera e'tibar tum bhi karo
Faragh Rohvi
usi taraf hai zamana bhi aaj mahw-e-safar
'faragh' main ne jidhar se guzarna chaha tha
Faragh Rohvi
yaro hudud-e-gham se guzarne laga hun main
mujh ko sameT lo ki bikharne laga hun main
Faragh Rohvi
zara si baat pe kya kya na kho diya main ne
jo tum ne khoya hai us ka shumar tum bhi karo
Faragh Rohvi