tinkon se khelte hi rahe aashiyan mein hum
aaya bhi aur gaya bhi zamana bahaar ka
Fani Badayuni
tumhin kaho ki tumhein apna samajh ke kya paya
magar yahi ki jo apne the sab parae hue
Fani Badayuni
us ko bhule to hue ho 'fani'
kya karoge wo agar yaad aaya
Fani Badayuni
wo nazar kaamyab ho ke rahi
dil ki basti KHarab ho ke rahi
Fani Badayuni
wo subh-e-id ka manzar tere tasawwur mein
wo dil mein aa ke ada tere muskurane ki
Fani Badayuni
ya kahte the kuchh kahte jab us ne kaha kahiye
to chup hain ki kya kahiye khulti hai zaban koi
Fani Badayuni
ya tere muhtaj hain ai KHun-e-dil
ya inhin aankhon se dariya bhar gae
Fani Badayuni